raksha bandhan har saal Shravan Maas ki Purnima par manaya jata hai.. Isliye ise Rakhi Purnima bhi kaha jata hai.
Is din, behnein apne bhaiyon ki samriddhi ke liye unki kalai par rang-birangi rakhi bandhati hain aur bhai apni behen ki raksha ka vachan dete hain. Kuch jagah is parv ko Rakhri bhi kaha jata hai.
Raksha Bandhan 2024: Shubh Muhurat Aur Timing
Raksha Bandhan 2024 Date: 19 August 2024
Shubh Muhurat:
Shaam 06:56 PM se 09:08 PM tak
Dopahar 01:32 PM se 04:20 PM tak
Bhadra Kaal ka Mahatva
Bhadra ka samay jab bhi hota hai, us samay rakhi bandhna ashubh mana jata hai. Shastraon ke anusar, Bhadra Bhagwan Surya Dev ki putri aur Shani Dev ki behen hai.
Shani ka swabhav kroor aur krodhi hone ke karan, Bhadra ka bhi aisa hi swabhav hai.
Brahma ji ne inhe Panchang ke ek pramukh ang kar diya hai aur unka naam Vishthi Karan rakha gaya hai. Bhadra Karan lagne par vishesh din par shubh karyon ko karne ka nishedh mana jata hai.
Ek aur manyata ke anusar, Ravan ki behan ne Bhadra kaal mein hi apne bhai ki kalai mein raksha-sutra bandha tha, jiske karan hi Ravan ka sarvanash hua tha.